Monday, March 10, 2008

Mumkin Hota Agar….

Khwab saare unke poore kar deti….
Har muskaan ko unke Hothon Pe dhar deti…
Mumkin hota agar Zindagi ko bina aansu ke jeena…
To unke haar takleef ko apne naam kar deti…..

Koshish se kehti apni saari taqat laga de…..
jeet se kehti bas thoda sa haath bada de….
mumkin hota agar..
Har jung ko jeetna…
To unhe haar par hasna sikha deti…

Dard ne bhi haarkar keh diya…
“Mujhse itna pyaar mat karo”…
Kabhi to khushi ke ehsaas ko…
mehsus kar liya karo…
Mumkin hota agar…
Unka..Dard ko Bhulaana..
To unki mulaqat mein Khushi se karwa deti…

Jo tabaahi Ka jashn Khule Aam raha hai…
Jo barbadi ko hi apni manzil bana baitha hai…
unhe zindagi ka maksadh kaise samjha deti…
mumkin hota agar waqt ko badalna..
to unke har zillat ko Main Tareef mein badal deti…..
Mumkin Hota Agar….
Mumkin Hota agar….!!!!

Sawaal

Shikayat Zindagi se hoti kyun Hai…
Sab Kuch Hote hue bhi Har cheez ki kami Kyun Hai….
Majburi bhi khud jaanti hai..
ki woh kismat ke bina adhuri hai…
Phir ye bebasi hamesha roti kyun hai…..

Aksar mere zehen mein,
Ek sawaal utha karta hai….
Khuda ki Ibaadat ko Zindagi kahan jaata hai…
Phir kyun Is tofhe ko Majburi ke haathon Dekar…
Usse Ek uljhaya Hua sawaal Banaya jaata hai….

Har taraf Nafrat Ka zeher bhara kyun hai….
is jahaan se mohabbat ka Nishaan Mita kyun hai…
Majburi bhi khud jaanti hai..
ki woh kismat ke bina adhuri hai…
Phir ye bebasi hamesha roti kyun hai…..

Chalo mana ki Zarurat Mohabbat se badkar hai…
Kuch Paana Khone se zyaada khubsurat hai…
Par zindagi mein sab kuch mile ye zaruri toh nahi…
Zarurat ke bina jeena shayad ho..
Par mohabbat k bina jeena
Mumkin hi nahi….

Taqdeer Is kadar waqt Ka ghulam Kyun hai..
Kuch Paakar usse Khona hi hai..
To woh khushi humhe milti kyun hai…
Majburi bhi khud jaanti hai..
ki woh kismat ke bina adhuri hai…
Phir ye bebasi hamesha roti kyun hai…..?????